15/10/2013

miya biwi ki sex life kaisi hona chaiye in islam

mubashrat ke bare me islami nazariya kiya kheta he?
mubashrat yani sex ek aisa topic he jispar baat karne se aam tor se log shrmate hain lakin din e islam me har ek topic par insan ki rehnumai ki gai he.
bachche ki paidaish se lekar ek insan ki mout tak insan ko islam ne talim di he ke wo kaise apni zindagi guzare.
sex ke bare me bhi islam ne rehnumai ke he.
sabse pehlre ye talim di he ke jab koi shaks jawan ho jaye baligh ho jaye to use chaiye ke wo nikah karle hadis me ye baat is tarha kahi gai he ke agar tum nikah ki taqat rakhte ho to nikah karlo aur nahi to roza hi rakho.
yani jawani ka josh aisa josh hota he jisme sex ki khwahis zyad hoti he aise me kis nojawan ko apni pakdamni ki hifazat ke liye sabse pehle shadi karlena chaiye lakin us me shadi ke baad biwi bachcho ke ikhrajat uthane ki takat na ho to phir roza rakhna chaiye.
jab shadi ho jaye to apni biwi ke sath shohar ke talluqat kaise ho is bare me har pehle se rehnumai ki he.
is blog me hum baat karege sex atlluqat ke bare me yani humbistari ke bare me.

No comments:

Post a Comment